Best Romantic Sms Biography
Source(google.com.pk)
Pyar ek haseen lamha hai usko jeene wala chahiye
Pyar ek sapno ki duniya hai usme rehne wala chahiye
Pyar ek vishvas hai uss per sath chalne wala chahiye
Pyar ek khushi hai jisko baatne wala chahiye
Pyar ek bejuba shabd jisko bolne wala chahiye
Pyar ek aashiqui hai jiska sath nibhane wala chahiye
Pyar ek gam bhi hai jisme aansoo pochne wala chahiye
Pyar ek sath suro ka sangam hai jisme taal milane wala chahiye
Pyar ek diwangi hai jisme kho jane wala chahiye
Pyar ek raaz hai jisko samajhne wala chahiye
Pyar ek nadani hai ussa bacchane wala chahiye
Pyar ek khamoshi hai jisse padhne wala chahiye
Pyar ek heera hai jisko khojne wala chahiye
Pyar ek ehsas hai jisko mehsus karne wala chahiye
Pyar ek aadhura shabd hai usko pura karne wala chahiye
Pyar ek rishta hai jisko apnane wala chahiye
Pyar ek jivan hai jiske sath jingadi bitane wala chahiye..
kabhi gulzar si,
kabhi bezar si,
kabhi khushi hamare sath sath,
kabhi ghamon ki barsat si,
kabhi tofaan mein bhi hein raste,
kabhi manzilon ka pata nahi,
kabhi do qadam pe zindagi,
kabhi saddion tak intizar si,
kabhi har pal imtihan hai ,
kabhi bin mange inaam si, )
Masrof hen din raat uneh waqt kahan hy
Wo hmse karen bat uneh waqt kahan hy
Be-tabi-e-dil ka uneh andaza kahan hy
samjhen mere jazbat uneh
waqt kahan ahan hy
Woh pathar dil sahi hamara bhi ye dawa hai
Hamaray lab jinhe chu le wo pathar bol utte
Raaz-e-hasti kuch nahi aksar yehi dekha gia
Be-khabar hanste rahe aur ba-khabar rote rahe
Me khanay ki tauheen hai rindo ki hatak
Kam zarf ke haath me agar jaam diya jayai
Hum karain baat daleelon se to rud hoti hai
Is ke honton ki khamoshi bhi sanad hoti hai
Abhi mitti na khunki thi abhi paani na barsa tha
Magar bazm-e-anasir me tere hone ka charcha tha
Mere Khuwab MuJh Se Juda Huey
Ye Bara Hi Gham Ka MaQam Hai
Zara Lout aa Main Udas Hon
Koi Phot Phot K Ro Raha Hy Abhi TaLak Meri Zaat Me
Mere DiL Me Ek Kohram Hai
Zara Lout Aa Main Udaas Hon
Tere Dam Se Zinda Hain Aaj B Tu Hi ZindaGi Ki Umeed Hai
Tere Baad Jeena Haram Hai Zara Lout Aa Main Udaas Hon
Meri ZindGi Meri Bandgi Meri Khwahishen Meri Chahten
Meri Har Khushi Tere Naam Hai Zara Lout Aa Main Udaas Hon,.
Teri tasveer thi jo tujh se chhupa li maine
Jis pe likha tha k tu mere muqaddar mein nahi
Apne maathay se wo tehreer mita li maine
Tujh ko khwabon mein bula kr teri pooja kr li
Teri chahat mein yunhi umr bita li maine
Daikhtay hain ye aziat gawara ker ke!
Baaton baton mein bicharnay ka ishara ker ke
Khud bhi roya wo bohut hum say kinara ker ke
Sochta rehta hon tanhai mein Anjam-e-Khuloos
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobarah ker ke
Jagmaga di hain teray shehar ki galiyan mein nay
Apnay her ashk ko palkon pay sitara ker kay
Daikh laitay hain chalo hosla apnay dil ka
Aur kuch rooz tere sath guzara ker ke
Aik hi shehar mein rehna magar milna nahi
Daikhtay hain ye aziat gawara ker ke!
YE TO NAHIN HAI MERI MANZIL, PHIR KYUN HOON MAIN YAHAN
JANA TO HAI AUR KAHIN MAGAR,MAIN JAOON BHI TO KAHAN
AISA LAGTA HAI ZINDAGI ,KE KYA MAIN KAHOON
KITABON MEIN LIKHI HUI JAISE, HOON MAIN KOI DAASTAAN
YUHIN NA GUZAR JAYE UMR, RAHEN TALAASH MEIN
KAHIN TO HOGA ZAROOR MERE, KHWABON KA AASHIYAAN
SAMANDAR SA GAHRA HAI ,DARD-E- DIL MERA BHI
BAYAAN KAR NAHIN SAKTE, HOTON PE HAI KHAMUSIYAAN
MUKADDAR TO APNI AISI, HAI KE TAWZZUB HAI
HAR ROJ HOTA HAI LAMHA, MERE SABRON KA IMTEHAAN
JI MEIN TO AATA HAI KE, JEENA HI CHOD DOON
BEZAAR LAGNE LAGA HAI, AAJKAL TO MUJHE YE JAHAN
UMMIDON KA CHARAGKAHIN, BUJH NA JAYE AMIN
SUNLE MERE KHUDA TUJHSE ,HAI YE MERI ARZIYAAN
Meri sanson mein teri khushboo to basee aaj bhi hai
Dil ki khwahish hai ke tumhay choo ker phir se dekhoon
Faaslay itney bhi ho jaain gai sochha hi na tha
Teray ehsas mein teri tasweer mein kab tak dekhoon
Kaisey dorahey per khara hoon ke aqal sakit hai
Dar hai pyaron sey judai ka, khud ko tarapta dekhoon
Tera ehsas-e-janoon mujh ko bhi pyara hai mager
Ishq ke anjam mein apney liye azziat dekhoon
Dil diwana tha kabhi tera so aaj bhi hai
Teri aankhon mein wohi pyar mein phir se dekhoon
Mein ne her lamha khuda se mangee hai dua
Mein teray pyar ka mausam sada hi dekhoon
Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana
Sirf Ahsaan Jataane ke Liye Mat Mana
Maine Palkon Pe Tamannaen Saja Rakhi Hain
Dil Par Umeed ki 100 Rasmen Jala Rakhi Hain
Ye Hanseen Shamen Bujhaane ke Liye Mat Aana
Pyar ki Aag Main Zanjeer Pighal Sakti Hai
Chahne Walon ki Takdeer Badal Sakti Hai
Hoon Bebas Ye Batane ke Liye Mat Aana
Mujhse Milne ki Agar Tumko Nahi Chahat koi
Tum Sirf Rasmen Nibhane ke Liye Mat Aana
Labon ki sersarahat se,
badan k choor hony tak.
Main tujh ko is tarah chahoon.
K meri saans ruk jaye.
Khataon par khata'ain hun,
Na ho kuch baat
kehny ko.
Main tujh men yun sama jaon,
K meri saans ruk jaye.
Na himmat tujh men ho baqi,
Na himmat mujh men ho baqi,
Magar itna qareeb aaon,
K meri saans ruk Jaye.
Tery honton pe jab rakhun,
Main apny hont kuch aesy,
Ya teri pyaas bujh jaye,
YA MERI SAANS RUK JAYE
terey paas aane ko jee chahata hai
naye zakhm khane ko jee chahata hai
zamana mera aazmaya huwa hai
tujhey aazmane ko jee chahata hai
wahi baat reh reh k yaad aa rahi hai
jisey bhool jane ko jee chahata hai
labo'n par merey khailtey hain tabassum
jab aansoo bahane ko jee chahata hai
takalluf na kar aaj barq e tajalli
nasheman jalaney ko jee chahata hai
rukhey zindagi se naqabain ulat karr
haqiqat dikhane ko jee chahata hai
Ik baar kar ke aitbaar likh do.
Kitna hai mujh se pyar likh do.
Kat ti nahi yeh zindagi,ab tere bin.
Kitna karoon aur intzaar likh do.
Taras rehy hain bari mudat se.
Iss bar apni mohabbat ka izhaar likh do.
Deewanay ho jayein jisay parh ke hum.
Kuch aisa tum mere naam likh do.
Zayada nahi likh sktay to mat likho.
Mohabbat bharay lafz 2,4 likh do.
Ik baar likho mohabbat hai tum se.
Phir yehi jumla baar baar likh do.
No comments:
Post a Comment