Romantic Poetry Sms Biography
Source(google.com.pk)
Kitni aziyat se us ne mujh ko bhulaya hoga
Meri yaadon ne usey khoob rulaya hoga…,
Baat be-baat aankh us ki chhalki ho gi
Us ne chehre ko baazuon mein chupaya hoga…,
Socha ho ga us ne din mein keyi baar mujhe
Naam hatheli per bhi likh likh kar mittaya ho ga…,
Jahan us ne kahin mera zikr suna ho ga kisi se
Us ki aankhon mein koi aansu to aaya hoga…,
Raat ke bheegne tak neend naa aayi ho gi usey
Us ne takkiye ko bhi seene se lagaya hoga…,
Ho gi niddhal meri yaadon se tu ne jaana
Meri tasveer pe sar apna ttikaaya hoga…,
Poocha ho ga jo kisi ne teri haalat ka sabab
Tu ne baaton mein khoob us se chupaya ho ga…,
Choota jo tera haath to hum toot ke roye
Tum jo na rahe saath to hum toot ke roye…,
Chahat ki tamanna thi aur zakhm diye tum ne
Paayi jo yeh saughaat to hum toot ke roye…,
Imkaan na tha door talak tajdeed-e-talluq ka
Dekhe jo yeh halaat to hum toot ke roye…,
Anjaan they hum ab tak dard ki surat se
Hui jo mulaqaat to hum toot ke roye…,
Logon se bohat poocha sabab veerani ka
Jo soojhi na koi baat to hum toot ke roye…,
Thi dhoop bohat taiz har simt judai ki
Barsi jo na barsaat to hum toot ke roye…,
Din bhar to rahe chup ke duniya ki nazron se
Bheegi jo seyaah raat to hum toot ke roye…,
Samjha tha sadaa tujh ko apna hi ik hissa
Tukrron main batti zaat to hum toot ke roye…,
Hum karte rahe kyun uss chaand ki khawhish
Yaad aayi jo aukaat to hum toot ke roye…,
Meri sochon ke harpal mein, tum kyo aa jaati ho,
Mere dil ko anjane mein, tum kyon tadpaati ho,
Is Daman mein to bas, kaanto ka gulshan hai,
Phir is banjar duniya mein, kyon phool sajaati ho,
Dewana bhi kehta hai, ye chand kahan se aaya,
Taaron ke jhurmat mein, jab tum sharmaati ho,
Phir koun na chahega, jeete jee hi marna,
Apni aankhon mein jab, samundar bhar kar laati ho,
In khushk fizaon mein, ghangoor gatta chha jaati hai,
Chehre par mere jab bhi, zulfe lehrati ho,
Is veerane se ghar mein, bahare lout aati hai,
Jab dil ke darwaze par, dastak de kar jaati ho,
Ye dil to pagal hai, bas jhoomta rehta hai,
? Tum mere HUMSAFAR ho?, jab keh kar jaati ho.
Kamosh Zabaan Ke Lafzon Mein
Kuch Posheeda Si Baatein Hai
In Posheeda Si Baaton Mein
Kuch Chahat Ki Barsaatein Hain
In Baaton Ko Hum Muddat Se
Seenay Mein Chhupaye Bethey Hain
Kuch Paaye Bina Kuch Kho Dena
Ye Piyaar Mein Ham Ne Seekha Hai
Sooraj Mein, Chand Sitaron Mein
Har Shai Main Tumhi Ko Dekha Hai
Dharkan Mein Bhi Naghma Ban Kar
Saagar Ki Tarah Tum Behtey Ho
Ye Piyaar Nahi To Tumhi Kaho?
Phir Piyaar Kisey Tum Kehtey Ho
Jissay Tum Zindagi Jaano
Tumhain Woh Roog Kehta Ho
K Jis Nay Khud Hi Chahat Say Tumhara Haath Thama Ho
Woh Apnay Dil K Darwazay Tumhain Par Band Kar Day
Tu Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai
Tumhain Sangsaar Karnay Ko
Jo Sang Baantay Logon Main
Sabah Ko Rooknay Ka Qafl Daalay Jo Dareechoon Main
Kar K Band Ghar K Darwazay
Saans Par Pehra Lagaye
Tu Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai
Yeh Kis Nay Keh Diya Tum Say
Mohabbat Mar Nahin Sakti
K Jab Koi Tumhain Jaan Say Ghuzar Jaanay Ko Kehta Ho
Aadhi Raah Main Khud Hi Mur Jaanay Ko Kehta Ho
Woh Apni Bay Wafai Ka Khud Hi Aetraaf Kar Lay Tu
Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai
Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai?..
Na Jane Dhoondtay Ho Kya Meri Weeran Aankhon Mein
Chupa Rakhay Hum Ne To Kai Toofaan Aankhon Mein
Kahan Woh Shokhiyan Pehlay Si,Ab Kuch Bhi Nahin Baqi
Chalay Aaye Ho Tum Kya Khojnay In Be-jaan Aankhon Mein
Kisi Ka Haath Lekar Haath Mein Jab Tum Mile Hum Se
To Kaise Toot Ke Bikhra Tha Mera Maan Aankhon Mein
Na Samjho Chup Hain To Tum Se Koi Shikwa Nahi Baqi
Hum Apne Dard Ki Nahi Rakhte Koi Pehchaan Aankhon Mein
Milay The Baad Muddat Ke Humain Tum Ajnabi Ban Kar
To Kaise Dard Na Uthta Meri Hairaan Aankhon Mein
Nahi Ab Phir Se Koi Raabta Rakhne Se Kuch Haasil
Ke Ab Dafna Diye Hum Ne Sabhi Armaan Aankhon Mein?!!
No comments:
Post a Comment